Facebook Page me Auto Reply kaise Chalu kare
Facebook Page Messaging Enable kare
Facebook Account me login karke Facebook Page ko open kare.. Fir setting me ja kar Messaging chalu kare.. Image me dekhe kaise..
- Settings par click kare.
- General ke section me jaye.
- Messages ke option ko edit kare, fir Allow Message kat tik kare.
- Tik karne ke baad Save Changes ki button par click kare.
Is setting ko Chalu karne ke baad koi bhi aapke page par aapko Message send kar sakta hai, is prakar aap unse ek direct sampark bana sakte ho or unki help kar sakte ho.Ab agar aapke Page par aapko koi message karta hai to aap uske message ka reply kar sakte ho, par aap hamesa to online rha nahi sakte.. To uska Badiya Solution hai ki ham ek Automatic Reply set karde.. usse hoga ye ki jab bhi koi hame facebook par message karega to uske pass hamara automatic message chala jayega.
Facebook Page Auto Reply kaise karte hai
Sabse Phele apne Facebook account me login karke Apne Facebook page par jaye.
Page Open karne ke baad Page Settings par jaye
Ab Messaging ke section me jaye. (Messaging Chalu hogi jab hi aayega ye option.)
Ab hamare samne Instant Replies (Automatic replay) karne ka option aa jayega.
- Sabse Phele Enable Instant Replies ko tik kare.
- Your Reply ke box me apna Message type kare jo aap automatic reply me send karna chate hai. 250 sabd ka message type kar sakte ho.
- Message likh kar Save Reply ki button par click kare.
Ab jab bhi aap offline hoge or agar koi aapke facebook page par message karega to usko aapka set kiya huaa message automatic send ho jayega.
Comments
Post a Comment